Dard Apnaataa Hai Paraaye Kaun Lyrics | Silsilay (album) | Jagjit Singh

Dard apnaataa hai paraaye kaun -2
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun -3

Kaun dohraaye puraani baaten -2
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun -3

Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain -2
Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun -3

Ab sukun hai to bhoolne mein hain -2
Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun -3
Dard apnaataa hai paraaye kaun

Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas -2
Dekhiye aaj yaad aaye kaun -3
Dard apnaataa hai paraaye kaun
Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun

MovieSilsilay (album)
SingerJagjit Singh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *