Chhod Babul Ka Ghar Lyrics  | Babul | Dilip Kumar, Munawar Sultana | Shamshad Begum | Naushad Ali

Chhod Babul Ka Ghar Lyrics | Babul | Dilip Kumar, Munawar Sultana | Shamshad Begum | Naushad Ali

Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada, o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Sang sakhiyo ke
Bachapan bitati thi main,
Ha bitati thi main
Byah gudiyo kaa hans
Hans rachati thi main,
Ha rachati thi main
Sab se munh mod kar,
Kya batau kidhar
Dil lagana pada,
O aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Yad maike ki dil se bhulaye chali,
Ha bhulaye chali
Preet sajan ki man mein basaye chali,
Ha basaye chali
Yad kar ke yeh ghar,
Royi aankhe magar
Muskurana pada o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Pehan ulfatka gehna dulhan
Mein bani ha dulhan mein bani
Dulha aaya piyaka sakhi
Mein chali ha sakhi mein chali
Ye tha jutha nagar isliye
Chodkar mohe jana pada
O aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar,
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada.

MovieBabul
SingerShamshad Begum
DirectorS.U. Sunny
Music ComposerNaushad Ali
LyricistShakeel Badayuni
Star CastDilip Kumar, Munawar Sultana, Nargis
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *