Chhaai Birahaa Ki Raat Moraa Tadape Jiyaa Lyrics | Nav Durga | Geeta Dutt | S N Tripathi

Chhaai Birahaa Ki Raat Moraa Tadape Jiyaa Lyrics | Nav Durga | Geeta Dutt | S N Tripathi

Chhaai birhaa ki raat
Moraa tadpe jiyaa
Mose ruthe piyaa
Koi man kaa sahara nahi
Ho koi man kaa sahara nahi
Chhaai birhaa ki raat
Moraa tadpe jiyaa
Mose ruthe piyaa
Koi man kaa sahara nahi
Ho koi man kaa sahara nahi

Pal bhar me tut gaye sapno ke moti
Aansu me dub gai naino ki jyoti
Pal bhar me tut gaye sapno ke moti
Aansu me dub gai naino ki jyoti
Naino ki jyoti
Sune-sune se hai aaj
Mere asha ke dwaar
Naiyaa kaise lage paar
Jab samne kinara nahi
Ho koi man kaa sahara nahi

Man kaa singaar meraa kisne hai chhinaa
Haatho se chhut gai asha ki binaa
Man kaa singaar meraa kisne hai chhinaa
Haatho se chhut gai asha ki binaa
Asha ki binaa
Khoi-khoi si hai aaj mere jiwan ki prit
Gaaun ro-ro ke ye geet
Mere naino kaa taaraa nahi
Ho koi man kaa sahara nahi

Chhaai birhaa ki raat
Moraa tadpe jiyaa
Mose ruthe piyaa
Koi man kaa sahara nahi
Ho koi man kaa sahara nahi

MovieNav Durga
SingerGeeta Dutt
DirectorBabubhai Mistri
Music ComposerS N Tripathi
LyricistAnjum Jaipuri
Star CastMahipal, Usha Kiran, S N Tripathi, Dalpat, Sulochana, Maruti

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *