Chand Tu Yahan Hai Aur Chand Tu Waha, Itna Bus Bta De Lyrics | Bhabhi ki Chudiyan | Asha Bhosle | Sudhir Phadke

Chand Tu Yahan Hai Aur Chand Tu Waha, Itna Bus Bta De Lyrics | Bhabhi ki Chudiyan | Asha Bhosle | Sudhir Phadke

Chand tu yaha hai aur chand tu waha
Itna bas bata de mujhe man mera kaha
Man mera kaha
Chand tu yaha hai aur chand tu waha

Hath se nikal gaya hai mera bhola man
Aankho me sama gaya hai kiska bholapan
Hath se nikal gaya hai mera bhola man
Aankho me sama gaya hai kiska bholapan
Nind nahi aati mujhe raat hai jawa
Raat hai jawa
Chand tu yaha hai aur chand tu waha

Bekali badi hai badi hai kal ki aash bhi
Chand mujhse dur chand dil ke paas bhi
Bekali badi hai badi hai kal ki aash bhi
Chand mujhse dur chand dil ke paas bhi
Jaaungi khushi se waha dil gaya jaha
Dil gaya jaha
Chand tu yaha hai aur chand tu waha

Badlo ki palki me chandani chali
Chandani chali
Maine abhi dekhi nahi chand ki gali
Chand ki gali
Chand tu kaha mai teri chandani yaha
Chandani yaha
Chand tu yaha hai aur chand tu waha
Itna bas bata de mujhe man mera kaha
Man mera kaha

MovieBhabhi ki Chudiyan
SingerAsha Bhosle
DirectorSadashiv Rao Kavi
Music ComposerSudhir Phadke
LyricistNarendra Sharma
Star CastBalraj Sahni, Meena Kumari, Seema Deo, Om Parkesh, Durga Khote, Sailesh Kumar, Salvi, Sulochana, Aziz, Ratna Mala

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *