Chaman Me Reh Key Virana Lyrics | Deedar (1951) | Shamshad Begum | Naushad

Chaman me reh key virana meraa dil hota jata hai

Chaman me reh key virana meraa dil hota jata hai
Khushee me aaj kal kuchh gam bhee shamil hota jata hai
Chaman me reh key virana………

(Naa jane kyon badaltee ja rahee hai jindagee meree
Naa jane jindagee meree) – (2)
Mai dil se bekhabar dil mujh se gafil hota jata hai
Chaman me reh key virana………

Yeh uljhan aur yeh bechainee, (yeh dhadkan aur yeh betabee -2) – (2)
Meraa dil jane kin teeron se ghayal hota jata hai
Chaman me reh key virana………

MovieDeedar (1951)
SingerShamshad Begum
Music ComposerNaushad
LyricistShakeel Badayuni

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *