Chali chali re patang meree chali re – (2)
Chali badalo ke par ho ke dor pe sawar
Saree duniya yeh dekh dekh jali re, chali chali re patang…….
Yu mast hava me lehraye jaise udan khatola uda jaye – (2)
Le ke man me lagan jaise koyee dulhan – (2)
Chali jaye sanwariya kee gali re, chali chali re patang………
Rang meree patang kaa dhani, hai yeh nil gagan kee ranee -2
Banki banki hai udan hai umar bhee javan
Lage patali kamar badee bhali re, chali chali re patang………
Chhuna mat dekh akeli hai sath me dor saheli -2
Hai yeh bijli kee dhar badee tej hai katar
Degi kat ke rakh diljali re, chali chali re patang………
| Movie | Bhabhi (1957) |
| Singer | Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi |
| Music Composer | Chitragupt |
| Lyricist | Rajendra Krishan |