Bujh Gaya Dil Ka Diya Lyrics | Jadui Angoothi | Subir Sen | Suresh Kumar

Bujh Gaya Dil Ka Diya Lyrics | Jadui Angoothi | Subir Sen | Suresh Kumar

Zamane ke hazaro gham
Simat kar dil me aaye hai
Kisi se dil laga kar
Hum badi mushkil me aaye hai

Bujh gaya dil ka deeya
To chandani ko kya karu
Lut gaya sara chaman to
Ek kali ko kya karu
Bujh gaya dil ka deeya

Jisme ho aansu hi aansu
Dukh jaha ho beshumar
Jisme ho aansu hi aansu
Dukh jaha ho beshumar
Jisme phul ko jalane
Aaya karti ho bahar
Mere maalik leke aisi zindagi ko
Kya karu
Kya karu
Bujh gaya dil ka deeya
To chandani ko kya karu
Lut gaya sara chaman to
Ek kali ko kya karu
Bujh gaya dil ka deeya

Kya pata tha
Chandni raate
Dhuaa ban jayegi
Kya pata tha
Chandni raate
Dhuaa ban jayegi
Bhulne wale ki yaade
Dil ko yu tadpayegi
Bewafa duniya ki is
Jhuthi khushi ko kya karu
Kya karu
Bujh gaya dil ka deeya
To chandani ko kya karu
Lut gaya sara chaman to
Ek kali ko kya karu
Bujh gaya dil ka deeya

Laut jaao ae baharo
Kyu jalane aayi ho
Laut jaao ae baharo
Kyu jalane aayi ho
Dil ke tute saaz par kyu
Gungunane aayi ho
Gham ki shahnayi se nikle
Raagni ko kya karu
Kya karu
Bujh gaya dil ka deeya
To chandani ko kya karu
Lut gaya sara chaman to
Ek kali ko kya karu
Bujh gaya dil ka deeya

MovieJadui Angoothi
SingerSubir Sen
DirectorA M Khan
Music ComposerSuresh Kumar
LyricistZafar Rahi
Star CastChitra, Manhar Desai, Polsan, Amirbai Karnataki, Meena Kumari, Mumtaz

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *