Bhool Ja Ae Dil Mohabbat Ka Fasana Lyrics  | Khel | Dev Anand, Nargis Dutt | Lata Mangeshkar | Sajjad Hussain

Bhool Ja Ae Dil Mohabbat Ka Fasana Lyrics | Khel | Dev Anand, Nargis Dutt | Lata Mangeshkar | Sajjad Hussain

Bhool ja ae dil mohabbat ka fasana
Kisi se dil lagana
Bhool ja ae dil mohabbat ka fasana
Wo sapna tha suhana

Yaad aati hain tujhe
Ab kyun wo raatein pyaar ki
Aur wo baatein pyaar ki
Yaad aati hain tujhe
Ab kyun wo raatein pyaar ki
Aur wo baatein pyaar ki
Bhool jaa ulfat ke meethe geet gana
Wo sapnaa thhaa suhaanaa
Bhool jaa ae dil mohabbat ka fasana
Kisi se dil lagana

Teraa gulshan lut gaya
Teraa gulshan lut gaya
Teraa nasheman jal gaya
Haay jal gaya
Din khushi kaa dhal gaya
Ab wo gulshan hai
Naa ab wo aashiyaana
Wo sapna tha suhana
Bhool jaa ae dil mohabbat ka fasana
Kisi se dil lagana

Ab to saari zindagi
Aansoo bahana hai tujhe
Dil jalaanaa hai tujhe
Ab to saari zindagi
Aansoo bahana hai tujhe
Dil jalana hai tujhe
Ab kahaan kismat mein
Teri muskurana
Wo sapana tha suhana
Bhool jaa ae dil mohabbat ka fasana
Kisi se dil lagana.

MovieKhel
SingerLata Mangeshkar
DirectorS.M. Nawab
Music ComposerSajjad Hussain
LyricistShams Azimabadi
Star CastDev Anand, Nargis Dutt, Murad, Neelam, Nigar Sultana
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *