Bewajah Lyrics | Hasan Raheem

Bewajah Lyrics | Hasan Raheem

Is Say Pehlay Bewafa Hojayen Hum
Kyun Na Ae Jaana Judaa Hojayen Hum
Shaakh Jo Shajar Pay Thay Teray Kabhi
Phool Murjha Gaye Unhi Kay Baithay Ham

Saadgi Ka Jaaiza Abhi Bhi Laitay Ho
Dil Yun Phaink Kay Ye Dil Nahi Kyun Daitay Ho
Ham Say Ashna Kya Hona Meray Janeman
Pyaar Hi Nahi Labo Say Jhoot Kehtay Ho

Itnay Laad Say Rakha Tuje Sambhaal Kay
Jee Aur Ap Guftugu Main Baa Kamaal Thay
Sarkashi Kya Agayi Jo Darmian Main
Ajnabi Bana Gaye Tum Aik Saans Main

Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa
Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa

Samandar Tha Jo Meri Ankhon Main Ye Kehta Tu
Ankhain Teri Phir Nashey Har Pal Rehti Kyun
Ulfaton Kay Jaam Tuna Hain Piye Bohat
Meri Ankhon Kay Nashey Main Kyun Na Dooba Tu

Afsana Tera Tha Gham Bhara Main Behki Yun
Jhoot Bolay Tunay Itnay Main Bhi Sehti Hun
Ik Hasi Hi Maangi Thee Mainay Labo Ki Jo
Phoolun Say Udhaar Kab Tak Main Laity Rahun

Tu Masoom Tha Kay Apne Gham Main Pee Gayi
Tu Bhoola Jo Itni Yaadein Main Bhi Reh Gayi
Seenay Say Lagay Kay Waar Kar Gaye Jo Tum
Bae Asar Tha Tera Pagla Mehfil Keh Gayi

Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa
Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa

Mei Paaye Shilaan Tu Phatu Ma Yaatus
Yara Mas Jaik Tham Thei Zanjeeror Shaatus
Ashee Dudure Tus Ma Na Soiye Ge
Mein Rung Daiye-gon Karachiye Tatus

Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa
Bewajah Bewafa
Tu Bewajah Ke Bewafa

SingerHasan Raheem
Music ComposerUmairmusicxx
LyricistHasan Raheem
LabelHasan Raheem

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *