(Barso ke bad maine dala hai aj kajal
Barso ke bas maine bandhi hai aj payal
Hokar khusi se pagal mujhe aj nachne do – 2) – (2)
Sunli hai mere rab ne meri sabhi duaye – 2
Muskil hua sambhalna aisi chali hawaye – 2
Barso ke bad aise lahraya mera anchal – 2
Hokar khusi se pagal mujhe aj nachne do – 2
Aisa shama kaha tha jadu sa chal gaya hai – 2
Yu mere pyase dil ka mosam badal gaya hai – 2
Barso ke bad jaise barsa kahi pe badal – 2
Hokar khusi se pagal mujhe aj nachne do – 2
Pate hazar lekin sabka hai ek karan – 2
Wapas mujhe mila hai mera pyar mera sajan – 2
Barso ke bad mere dil me hui ye halchal – 2
Hokar khusi se pagal mujhe aj nachne do – 2
| Movie | Abb Insaaf Hoga |
| Singer | Alka Yagnik |
| Music Composer | Anand Shrivastav |
| Lyricist | Anand Bakshi |