Dudh ki muchho waala
Moot ke pencho waala
Dudh ki muchho waala
Moot ke pencho waala
Phunsi karocho waala bachpan bhi tha saala
Phunsi karocho waala bachpan bhi tha saala
Na yaado ke chakkar the
Na sapno ke machchar the
Hum hi the apne shehanshah
Khud apne afsar the
Ek tu tha thoda tedha
Ek main bhi thoda medha
Aur ek tha waqt kabootar jo khidki pe na thehra
Chor police waala bachpan bhi tha saala
Tujh jaisa banana chaha
Tujhe jeb me rakhna chaha
Tune door se thenga dikhaya
Kabhi hath na mere aaya
Main roya main chillaya
Tu hath na mere aaya
Dudh ki muchho waala
Moot ke pencho waala
Luchche lafango waala bachpan bhi tha saala
Gachchi pe sutto waala bachpan bhi tha saala
Maine sazish phir kar daali
Ungli pistol bana li
Kaani aankh se aim laga ke dham se goli chala di
Aur tu tapka
Dhool se chipka
Rok li saanse baj gayi taali
Woh khel tha be o saale
Sab jhoot tha be o saale
Baazi chhod ke jaane waale yeh beimani hai
Yeh beimani hai oh saale
| Movie | Hunterrr |
| Singer | Amit Trivedi |
| Director | Harshavardhan Kulkarni |
| Music Composer | Khamosh Shah |
| Lyricist | Swanand Kirkire |
| Star Cast | Gulshan Devaiah, Radhika Apte, Sai Tamhankar, Sagar Deshmukh, Veera Saxena, Rachel Dsouza |

