Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Ghar meri ummido kaa suna kiye jaate ho
Duniya ai muhabbat ki lute liye jaate ho
Jo gam diye jaate ho us gam ki dua karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
Saavan me papiha kaa sangit sunaaungi
Fariyaad tujhe apni gaa-gaa kar sunaaungi
Aavaaz meri sun ke dil thaam liya karna
Bachpan ki mohabbat ko dil se na juda karna
Jab yaad meri aaye milne ki dua karna
| Movie | Baiju Bawra |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Director | Vijay Bhatt |
| Music Composer | Naushad |
| Lyricist | Shakeel Badayuni |
| Star Cast | Bharat Bhushan, Meena Kumari, B M Vyas, Ratan Kumar, Surendra, Baby Tabassum, Kuldip Kaur, Bipin Gupta, Manmohan Krishna, Mishra, Radha Kishan, Kesari F, Rai Mohan, Bhagwan, Nadira, Ramesh, Krishan Kumari |

