Baad Muddat Unhe Dekh Kar Lyrics | Awaaz | Jagjit Singh, Chitra Singh | Jagjit Singh

Baad Muddat Unhe Dekh Kar Lyrics | Awaaz | Jagjit Singh, Chitra Singh | Jagjit Singh

Baad muddat unhe dekh kar yun laga
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya
Baad muddat unhe dekh kar yun laga
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya
Aarzuon ke gul muskuraane lage
Jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gaya

Tishna nazaren mili shokh nazaron se jab
May barasne lagi jaam bharne lage
Tishna nazaren mili shokh nazaron se jab
May barasne lagi jaam bharne lage
Sakiyaa aaj teri zarurat nahi
Bin piye bin pilaaye khumaar aa gaya
Baad muddat unhe dekh kar yun laga
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya

Raat sone lage subah hone lagi
Shamma bujhne lagi dil machalne lage
Raat sone lage subah hone lagi
Shamma bujhne lagi dil machalne lage
Waqt ki raushni mein nahaai hui
Zindagi pe ajab saa nikhaar aa gaya
Baad muddat unhe dekh kar yun laga
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya

Har taraf mastiyaan har taraf dilkashi
Muskuraate dilo mein khushi hi khushi
Har taraf mastiyaan har taraf dilkashi
Muskuraate dilo mein khushi hi khushi
Kitna chaha magar phir bhi uth na saka
Teri mahfil mein jo ek baar aa gaya
Baad muddat unhe dekh kar yun laga
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya
Jaise betaab dil ko karaar aa gaya

MovieAwaaz
SingerJagjit Singh, Chitra Singh
Music ComposerJagjit Singh
LyricistRoshan Nanda

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *