Aur Kaha Aawaz Lagaye Lyrics | Anjane Rishte | Alka Yagnik, Sadhana Sargam | Anand Shrivastav

Aur kaha aawaz lagaye dukhyaro ki toli – 2
Aaya tumre dwar jo bhar gayi uski jholi
Baba sai baba baba sai baba – 2

(Bhagwan tum nahi magar bhagwan tumre sath hai
Sun lo git nirdosh ka jivan tumhare hath hai) – (2)
Aur tumhara hath baba
Aur tumhara hath baba samjhe dukh ki boli
Aaya tumre dwar jo bhar gayi uski jholi
Baba sai baba baba sai baba – 2

(Ho jiske shahayak tum wo to
Takdir se bhi na har sake
Tum jinke rakhwale ho
Unko mout kabhi na mar sake) – (2)
Jivan dhage me jo padi thi – 2
Ganth wo tumne kholi
Aaya tumre dwar jo bhar gayi uski jholi
Baba sai baba baba sai baba – 3

(Tumhri daya ki chhao me
Tufan sare tal gaye
Andhiyari raat dhal gayi
Kirno ke dip jal gaye) – (2)
Aur sawera khel raha
Hai sato rang ki holi
Aaya tumre dwar jo bhar gayi uski jholi
Baba sai baba baba sai baba – 5

MovieAnjane Rishte
SingerAlka Yagnik, Sadhana Sargam
Music ComposerAnand Shrivastav
LyricistMajrooh Sultanpuri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *