Apni nakami se mujhko kaam hai
Apni nakami se mujhko kaam hai
Ho unhe rahat mujhe aaram hai
Dil hamara aur nahi kuch ikhtiyar
Dil hamara aur nahi kuch ikhtiyar
Haye majburi isi ka naam hai
Haye majburi isi ka naam hai
Apni nakami se mujhko kaam hai
Dil ki uljhan mein basa chalta nahi
Dil ki uljhan mein basa chalta nahi
Hum kaha hai subah hai ya sham hai
Hum kaha hai subah hai ya sham hai
Apni nakami se mujhko kaam hai
Hum tadapte hai nahi unko khabar
Hum tadapte hai nahi unko khabar
Kya mohabbat ka yahi anzam hai
Kya mohabbat ka yahi anzam hai
Apni nakami se mujhko kaam hai
Apni nakami se mujhko kaam hai.
| Movie | Subah Ka Tara |
| Singer | Talat Mahmood |
| Director | Rajaram Vankudre Shantaram |
| Music Composer | Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) |
| Lyricist | Noor Lakhnavi |
| Star Cast | Pradeep Kumar, Rajaram Vankudre Shantaram, Jayshree Gadkar |
| Label | Saregama |
