??angdai par angdai
Leti hai raat judai ki
Angdai par angdai
Leti hai raat judai ki
Tum kya samjho
Tum kya jano
Baat meri tanhayi ki
Kaun siyahi ghol raha tha
Waqt ke behte dariya me
Waqt ke behte dariya me
Maine aankh jhuki dekhi hai
Aaj kisi harjai ki
Tum kya samjho
Tum kya jano
Baat meri tanhayi ki
Wasl ki raat na jane kyu
Israar tha unko jane par
Israar tha unko jane par
Waqt se pehle dub gaye
Taaro ne badi danai ki
Tum kya samjho
Tum kya jano
Baat meri tanhayi ki
Udte udte aas ka panchi
Door ufaq me doob gaya
Door ufaq me doob gaya
Rote rote baith gayi aawaz kisi saudai ki
Angdai par angdai
Leti hai raat judai ki
Tum kya samjho
Tum kya jano
Baat meri tanhayi ki
| Movie | A Mile Stone (Jagjit Singh) |
| Singer | Chitra Singh |
| Music Composer | Jagjit Singh |
| Lyricist | Qateel Shifai |

