(Ambuva pe gaaye koyaliya gaane
Aa more balam kisee bahaane) – (2)
(Mai majabur bhai dil majabur meraa
Tohe mai pyaar karu itana kusur meraa) – (2)
Laakh manaau jiya naa maane – (2)
Aa more balam kisee bahaane, ambuva pe gaaye koyaliya gaane
Aa more balam kisee bahaane
(Jabse milaaye naina balam tose
Kachhu nahee sujhe maika kachhu naa bane hai mose) – (2)
Raat din jiyara laga sataane – (2)
Aa more balam kisee bahaane, ambuva pe gaaye koyaliya gaane
Aa more balam kisee bahaane
Aa more balam kisee bahaane, ambuva pe gaaye koyaliya gaane
| Movie | Pagdandi |
| Singer | Zeenat Begum |
| Music Composer | Khurshid Anwar |
| Lyricist | D N Madhok |