Aman kaa farishta kaha ja raha hai
Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Aman kaa farishta kaha ja raha hai
Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Bahot der jaga tha soya huwa hai
Aman ke khaayalo me khoya huwa hai – (2)
Yeh kaisi mohabbat, yeh kaisi judayi
Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Yeh jiwan kee manjil pe chhuta hai hamse
Koyi toh manao ke rutha hai hamse – (2)
Najar mere bago ko kissne lagayi
Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (2)
Aman kaa farishta kaha ja raha hai
Chaman ro raha hai, machi hai duhayi – (3)
Yeh nafrat ke jazbo me hargij naa behna
Meri bat sun lo gale milke rehna
Jalti chita se yeh aawaz aayi, aawaz aayi
| Movie | Aman |
| Singer | Mohammad Rafi |
| Music Composer | Shankar-Jaikishan |
| Lyricist | Hasrat Jaipuri |