Allah Ke Nek Bande Lyrics  | Sarfarosh | Maruti, Sherry | Mohammed Rafi | Mohinder Singh Sarna

Allah Ke Nek Bande Lyrics | Sarfarosh | Maruti, Sherry | Mohammed Rafi | Mohinder Singh Sarna

Laaya thha kya sikandar
Kya le chala jahaan se ae
Thhey dono haath khaali ee
Baahar kafan se nikle

Allaah ke nek bande
Neki ka beej bo le
Naam uska liye jaa
Tauba kiye jaa
Apne gunaahon se
Allaah ke nek bande
Neki ka beej bo le

Haathon mein khuda ke hain ye
Taqdeer ka taana baana
Kachche dhaage ka hai rishta
Har saans ka aana jaana
Ye kisko khabar hai naadaan
Ye kisko khabar hai naadaan
Kab saans ki dori tootey
Kab saans ki dori tootey
Allaah ke nek bande
Neki ka beej bo le
Naam uska liye jaa
Tauba kiye jaa
Apne gunaahon se
Allaah ke nek bande
Neki ka beej bo le

Anjaam se gaafil kyun hai
Anjaam tera hai faani
Is raah e zindagi mein tu
Kuchh apni chhod nishaani
Tere baad bhi duniyawaale
Tere baad bhi duniyawaale
Dohraayen tere afsaane ae
Dohraayen tere afsaane
Allaah ke nek bande
Neki ka beej bo le.

MovieSarfarosh
SingerMohammed Rafi
DirectorDharam Kumar
Music ComposerMohinder Singh Sarna
LyricistNaqsh Lyallpuri
Star CastMaruti, Sherry, Jagirdar, Jeevan, Nishi, Jairaj
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *