Akela Hu Mai Iss Jahaan Me Lyrics | Neela Aasman (Unreleased) | Kishore Kumar

Akela Hu Mai Iss Jahaan Me Lyrics | Neela Aasman (Unreleased) | Kishore Kumar

Akela hu main is jahaan me
Akeli meri daastaan
Naa manjil koi naa sathi koi
Jaane kya ye nila aasmaan
Kya khabar kya pata
Ja raha hu main kahaan

Meri raat ka ek saathi
Yahi chaand ka karvaan
Chalu to chale
Ruko to ruke
Jaane kya ye nila aasmaan
Kya khabar kya pata
Ja raha hu main kahaan

Meraa hamsafar meraa saaya
Meraa meherbaan rajdaan
Na iska koi na meraa koi
Jaane naa ye nila aasmaan
Kya khabar kya pata
Ja raha hu main kahaan

Ye dariya ye mauje ye saahil
Ye chhalki huyi mastiyaa
Hain aati najar
Kuchh kami si magar
Jaane kya ye nila aasmaan
Kya khabar kya patah ja raha huin main kahan

Akela hu main is jahaan me
Akeli meri daastaan
Naa manjil koi naa sathi koi
Jaane kya ye nila aasmaan
Kya khabar kya pata
Ja raha hu main kahaan
Ja raha hu main kahaan
Ja raha hu main kahaan

MovieNeela Aasman (Unreleased)
SingerKishore Kumar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *