Janmo ki jwala thi tan me
Milne ki trishna thi man me
Tune kiya tan ko sheetal sheetal
Ab na rahi man me koi halchal
Itna hai sukh bandhan me
Preetam tere aalingan me
Aagosh me aake maine jana
Praano se najdik tujhko mana
Sathiya
Sapno ka har darpan tuta
Har mausam lagta hai jhutha
Itna gahan hai samay ka saya
Dil ke ujaale ko benur paaya
Sathiya
Janmo ki jwala thi tan me
Milne ki trishna thi man me
Tune kiya tan ko sheetal sheetal
Ab na rahi man me koi halchal
Sathiya
| Movie | Hey Ram |
| Director | Kamal Haasan |
| Music Composer | Ilaiyaraja |
| Lyricist | Sameer |
| Star Cast | Kamal Haasan, Shahrukh Khan, Rani Mukherjee, Hema Malini, Girish Karnad, Naseruddin Shah, Om Puri, Vikram Gokhale, Prachi Shah, Atul Kulkarni, Iravati Harshe, Vasundhara Das, Saurabh Shukla, Nasser, Mohini Mathur, Ram Mohan, Shadaab Khan, Manoj Pahwa, Ume |

