Ajab hamari hai zindagani
Kabhi andhera kabhi ujala
Ajab hamari hai zindagani
Kabhi andhera kabhi ujala
Hai ye hi jivan ki ik kahaani
Kabhi andhera kabhi ujala
Kabhi hai milna kabhi bichhadana
Kabhi hai rona kabhi hai gana
Kabhi hai milna kabhi bichhadana
Kabhi hai rona kabhi hai gana
Hai khwab aisa ye zindagani
Kabhi andhera kabhi ujala
Hai ye hi jivan ki ik kahaani
Kabhi andhera kabhi ujala
Kabhi to mausam judaai ka hai
Kabhi hain ghadiya madhur milan ki
Hai gam ki manzil to aani jaani
Kabhi andhera kabhi ujala
Hai ye hi jivan ki ik kahaani
Kabhi andhera kabhi ujala
| Movie | Kabhi Andhera Kabhi Ujala |
| Singer | Asha Bhosle |
| Director | C P Dixit |
| Music Composer | O P Nayyar |
| Lyricist | Majrooh Sultanpuri |
| Star Cast | Kishore Kumar, Nutan, Chitra, Madan Puri, Shekhar, Kum Kum, Lalita Pawar, Helen, Yakub, K N Singh |

