Aayega, aayega, aayega
Aayega aane wala, aayega, aayega, aayega
Dipak bagair kaise parwane jal rahe hain – (2)
Koi nahee chalata aur tir chal rahe hain – (2)
Tadpega koi kab tak beaas besahare – (2)
Lekin yeh keh rahe hain dil ke mere ishare
Aayega, aayega, aayega
Aayega aane wala, aayega, aayega, aayega
Bhatki hui jawanee manjil ko dhundati hai – (2)
Majhi bagair nayya sahil ko dhundati hai – (2)
Kya jane dil kee kashtee kab tak lage kinare – (2)
Lekin yeh keh rahe hain dil ke mere ishare
Aayega, aayega, aayega
Aayega aane wala, aayega aayega aayega aayega
| Movie | Mahal |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Music Composer | Khemchand Prakash |