Rona naa udaas hona naa
Yeh aansu khona naa
Yaha naa daaman
Bhigonaa kabhi
Paana hai
Kabhi kuchh paana hai
Kabhi kuchh khona hai
Yaha jo hona hai
Hoga wo hi
Yahi jindagi hai
Yaha jiye wahi log jo
Saare gham bhulaake
Aansuo me muskuraate hai
Aate hai
Chale jaate hai
Jaane waale kabhi kabhi
Yaha apne pyaar se logo ke
Dilo me yaadgaar ban jaate hai
| Movie | Yaadgaar |
| Singer | Kishore Kumar |
| Director | Dasari Narayana Rao |
| Music Composer | Bappi Lahiri |
| Lyricist | Anjaan |
| Star Cast | Sanjeev Kumar, Tanuja, Poonam Dhillon, Sujit Kumar, Rajendra Nath, Raza Murad, Jamuna, Kamal Haasan |

