Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
Itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
Tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
Aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
Zindagi teri ata hai to yeh jaane wala
Teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega
| Movie | Best of Sajda (Jagjit Singh) |
| Singer | Jagjit Singh |

