Aankh purnam labo pe dum
Lagi hai aag sine mein
Isi ka naam jeena hai to
Kya rakha hai jeene mein
O bewafa kar ke jafa
O bewafa kar ke jafa
Yeh tune kya kiya
Haye yeh tune kya kiya
Meri masum ulfat ko
Yeh dhokha kyu diya
Haye yeh tune kya kiya
O bewafaa
Bharosa kar ke tujhpe aas
Ik dil ko lagayi thi
Tujhe apna bana kar
Ik nayi duniya basayi thi
Tujhe dil de ke apna apni
Kismat aazamai thi
O bewafaa kar ke jafa
Yeh tune kya kiya
Haye yeh tune kya kiya
O bewafa
Meri ragin raato ka
Sahara todne wale
Meri kashti ko toofano mein
La kar chhodne wale
Meri khushiya mere
Armaan mera dil todne wale
O bewafa kar ke jafa
Yeh tune kya kiya
Haye yeh tune kya kiya
Meri masum ulfat ko
Yeh dhokha kyu diya
Haye yeh tune kya kiya
O bewafaa.
| Movie | Taqdeer |
| Singer | Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) |
| Director | A.S. Arora |
| Music Composer | Dhaniram |
| Lyricist | Verma Malik |
| Star Cast | Karan Dewan, Shyama, Asha Mathur, Madan Puri, Helen, S K Prem |
| Label | Saregama |

