Aaj Madhuvatas Dole Madhurima Se Pran Bhar Lo Lyrics | Stree | Mahendra Kapoor, Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra

Aaj Madhuvatas Dole Madhurima Se Pran Bhar Lo Lyrics | Stree | Mahendra Kapoor, Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra

Aaj madhuvaataas dole
Madhurimaa se praan bhar lo
Chaand ko chup chaap nirkho
Chaandni mein snaan kar lo
Aaj madhuvaataas dole

Ye chameli si sugandhit
Raat madhu muskaa rahi
Ye chameli si sugandhit
Raat madhu muskaa rahi
Jheenguron ki been ki
Jhankaar par kuchh gaa rahi

Cheh chehaate vigah bhole
Kis dishaa mein kho gaye
Maun hai prakrati jagat ke
Sakal praani so gaye
Main kahu kuchh kaan me
Tum jaan kar anjaan kar lo
Chaand ko chup chaap nirkho
Chaandni mein snaan kar lo
Aaj madhuvaataas dole

Aaj tum kyun maun ho
Aaj kuchh mukh se bol do
Aaj apni chiranjeevi
Laaj ke pat khol do

Aa aa aa aa aa
Mook kaliyon se suno
Kuchh pranay ki paagal kahaani
Mad bhari geeli hawaa se
Baat kar lo kuchh suhaani
Band kar palke kisi kaa
Aaj man mandhyaan kar lo
Chaand ko chup chaap nirkho
Chaandni mein snaan kar lo
Aaj madhuvataas dole
Aa aa aa aa aa

MovieStree
SingerMahendra Kapoor, Lata Mangeshkar
DirectorV Shantaram
Music ComposerChitalkar Ramchandra
LyricistBharat Vyas
Star CastV Shantaram, Sandhya, Rajshree, Vandana, Charusheela, Uma, Babloo, Bhagwan, Indira, K Keshav Rao, Padma Chavan, Baburao Pendharkar, Mumtaz

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *