Aaj Iskee Bhari Jholi Lyrics | Daulat Ke Dushman | Manna Dey | R D Burman

Aaj Iskee Bhari Jholi Lyrics | Daulat Ke Dushman | Manna Dey | R D Burman

Sona chandi jhuthi doulat sacchi doulat pyar
Sacchi doulat ke dushman sab jhuthi ke sab yaar
Aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi
Aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

Nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat
Nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat
Bhai ko juda bhai se kar deti hai doulat
Doulat ke liye apno ka khoon karta hai insaan
Kuch aisa zahar aankho me bhar deti hai doulat
Ye bhookh hai aisi jo mari hai naa maregi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

Insaan tu bna firta hai doulat ka pujari
Insaan tu bna firta hai doulat ka pujari
Din raat tujhe rahti hai doulat ki khumaari
Doulat ka sahara naa bacha payega tujhko
Bhagwan ke insaaf ki jab aayegi baari
Doulat ki hawas kal tujhe barbaad kregi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

Doulat jise kahte hai wo hai dhup me saya
Saya jise kahte hain kabhi haath naa aaya
Izzat bhi gayi jaan bhi gayi naam bhi duuba
Doulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya
Doulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya
Daata ki daya hai jo tere sath rhegi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi
Aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi
Doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

MovieDaulat Ke Dushman
SingerManna Dey
DirectorBimal Rawal
Music ComposerR D Burman
LyricistMajrooh Sultanpuri
Star CastVinod Khanna, Agha, Bindu, Brahmachari, Mohan Choti, Helen, Nasir Husain, Aruna Irani, Durga Khote, Manmohan, Manno, Mukri, Rajeev, Jagdeesh Raj, Sunder, Shatrughan Sinha, Manjushree, Pran, Ajit, Paintal, Prem Chopra, Mehmood

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *