Aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
Aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
Beete dinon ke roothe sukho ko
Mil ke mana le sanam
Aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
Kudrat hasin khubsurat najaare liye
Dharti pe phool aasmaan pe sitaare liye
Ham khush hain ek dusre ke sahare liye
Sare jahan ki hai khushiyaan hamare liye
O mitva o mitva
Har ek pal ki aaj hi kal ki
Masti churale sanam
O aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
Naino mein naina pade chain paate rahe
Dil ke diye pyar se jhilmilate rahe
Mithe labon ka shahad lab churate rahe
O mitva ho o mitva ho
Jishmon se milke ruhon ki sari
Doori mita le sanam
O aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
Aadha adhura nagma milan ka
Phir gungunale sanam
| Movie | Mohini |
| Singer | Suresh Wadkar, Kavita Krishnamurthy |
| Music Composer | Ravindra Jain |
| Lyricist | Ravindra Jain |

