Titaliyaan Yaadon Ki Udati Jaaye Lyrics | Koi Aane Wala Hai – Strings | Strings | Strings – Pakistani Band

Dil tha khilauna, chalo tut gaya, kya kahein
Koyi saathi tha, jise chaaha tha
Wohi loot gaya kya kahein
Titaliyaan yaadon ki udati jaaye
Rango mein mujhse kuchh kehati jaaye
Ek jhil thi kayi phul the
Sab nikal gaye kya kahein

Chaaha tha kehana, na kaha chup rahe
Raahon mein tanaha chalate hi hum rahe
Titaliyaan yaadon ki udati jaaye
Rango mein mujhse kuchh kehati jaaye
Phirati kirane, tera aanchal
Kaise bhulein kya kahe
Gaati koyal, mehaka aangan
Kaise bhulein kya kahe
Titaliyaan yaadon ki udati jaaye
Rango mein mujhse kuchh kehati jaaye
Teri chaahate, meri roshani
Abb bujh gayi kya kahe
Dil tha khilauna, chalo tut gaya, kya kahein, kya kahein

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *