Ye Munasib Hoga Hamko Thaamlo Ke
Ham Bhi Chaand Dhoondne Lage Hain Badalon Mein
Naam Shamil Ho Chuka Hai Apna Pagalon Mein
Matlabi Is Duniya Se Kinaare Kar Lun
Naam Tere Saari Ki Saari Bahaarein Kar Dun
Bas Chale To Tere Hath Mein Sitaare Rakh Dun
Hai Koi Jawaab Oh Mere Janaab
Hai Koi Jawaab Is Baat Ka
Aapke Apne Hi Hain Hamko Jaaniye To
Is Sharam Ke Lehje Ko Pehchaniye To
Baat Ban Jayegi Baat Maniye To
Kya Hai Kuch Nahi Ye Char Din Ki Zindgani
Taaron Ke Her Fer Ki Ye Karistani
Na Kabhi Bhi Mitne Wali Likh De Kahani
Aapki Aankhon Mein Jo Likha
Main Padh Raha Hun
Baat Wo Honth Par Kab Aayegi
Intezaar Kar Raha Hun
Hai Koi Jawaab Oh Mere Janaab
Hai Koi Jawaab Is Baat Ka
Bunte Rahein Ya Na Bune Ye Khwaab
Hai Koi Jawaab Is Baat Ka
Share your thoughts