Nukta Cheen Hai Gham E Dil Lyrics  | Mirza Ghalib | Bharat Bhushan, Suraiya | Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) | Ghulam Mohammad

Nukta Cheen Hai Gham E Dil Lyrics | Mirza Ghalib | Bharat Bhushan, Suraiya | Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) | Ghulam Mohammad

Aa aa aa

Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane
Usako sunaye na bane
Kyaa bane baat jahaan
Baat banaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Gair phirata hai liye yun
Tere khat ko ke agar
Koi puchhe ke ye kyaa hai to
Chhupaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Mai bulata to hun usako
Magar ai jazba-e-dil
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ki lagaaye na lage aur
Bujhaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *