Chand Ke Paas Jo Sitara Hai Lyrics | Sweekar Kiya Maine | Kishore Kumar, Lata Mangeshkar | Usha Khanna

Chand ke pas jo sitara hai
Wo sitara hasin lagta hai – 2
Jab se tum ho meri nigaho me – 2
Har najara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai

Jindgi do dilo ki chahat hai – 3
Har khushi pyar ki amanat hai
Pyar ke pas jo
Pyar ke pas jo sahara hai
Wo sahara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai

Raat tanhaiyo ki dushman hai – 3
Har safar hamsafar se roshan hai
Moj ke pas jo
Moj ke pas jo kinara hai
Wo kinara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai

Aaj ki raat hai murado ki – 3
Roshani hai naye irado ki
Shama ke pas jo
Shama ke pas jo sharara hai
Wo sharara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai – 2
Wo sitara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *