Zulmat Kade Men Mere Shab E Gam Kaa Josh Hai Lyrics | Non-Film (Mohammed Rafi) | Mohammed Rafi | Khayyam

Zulmat Kade Men Mere Shab E Gam Kaa Josh Hai Lyrics | Non-Film (Mohammed Rafi) | Mohammed Rafi | Khayyam

Ai taazaa vaaredaan-e-bisaat-e-hawaa-e-dil
Zinhaar gar tumhe havas-e-naav-nosh hai

Dekho mujhe jo didaa-e-ibarat-nigaah ho
Meri suno jo gosh-e-nasihat-ni_osh hai

Ya shab ko dekhate the ke har gosha-e-bisaat
Daamaan-e-baagabaan-o-kaf-e-gul-farosh hai

Yaa subah-dam jo dekhiye aakar to bazm me
Nai wo surur-o-shor na josh-o-kharosh hai

Daag-e-firaaq-e-sohabat-e-shab ki jali hu_i
Ik shammaa rah ga_i hai so wo bhi khamosh hai

Zulmat-kade me mere shab-e-gam kaa josh hai
Ik shamaa hai dalil-e-sahar so khamosh hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *