Zulmat-kade me mere shab-e-gam kaa josh hai
Ik shamaa hai dalil-e-sahar so khamosh hai
Ai taazaa vaaredaan-e-bisaat-e-hawaa-e-dil
Zinhaar gar tumhe havas-e-naav-nosh hai
Dekho mujhe jo didaa-e-ibarat-nigaah ho
Meri suno jo gosh-e-nasihat-ni_osh hai
Daag-e-firaaq-e-sohabat-e-shab ki jali hu_i
Ik shammaa rah ga_i hai so wo bhi khamosh hai
Aate hai gaib se ye mazaami khayaal me
‘gaalib’ sarir-e-khaamaa naawaa-e-sarosh hai

