Zarb-e-jeena Lyrics | Latifa (Non Film) | Vibha Saraf | Sachin Mittra

Zarb-e-jeena Lyrics | Latifa (Non Film) | Vibha Saraf | Sachin Mittra

Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi
Beh gayi baraf jo kabhi jalti thi aag si
Reh gayi raat hai abhi
Banke bairaag si
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi

Zuni zuni raato mein dal pe
Udti thi chidiya to hum
Zuni zuni raato mein dal pe
Udti thi chidiya toh hum
Odha karte the na shikare me
Badan pe koi sharam
Sholo ka dariya
Jalta najariya
Pehle tha ab nahi
Ab hai bas siyahi
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena
Mumkin
Na mumkin hua

Saanse bharne ko
Mausam gujarne ko
Ruka waqt kyun yaha
Nabzo ka chalna
Girna sambhalna
Tujhse tha ab nahi
Ab hai bas duhai
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena thukraye zindagi
Beh gayi baraf jo kabhi jalti thi aag si
Reh gayi raat hai abhi
Banke bairaag si

Shamo me thandi hawao ka maja lete yuhi
Shamo me thandi hawao ka maja lete yuhi
Baithte chinar ki godi me rakh kar sar wahi
Bundo ka jharna
Baadal theharna
Pehle tha ab nahi
Ab hai bas sehrai
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi
Zarb-e-jeena
Zarb-e-jeena dohraye zindagi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *