Zamane Me Aji Aise Kai Nadaan Hote Hai Lyrics | Jeevan Mrityu | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Zamane Me Aji Aise Kai Nadaan Hote Hai Lyrics | Jeevan Mrityu | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Zamaane me aji aise kai naadan hote hai
Vaha le jate hai kashti jaha tufan hote hai

Shama ki bazm me aa kar ke paravane samajhte hai
Yahi par umr guzaregi yah divaane samajhte hai
Magar ik raat ke yah to faqat mehaman hote hai
Magar ik raat ke yah to faqat mehaman hote hai
Zamaane me aji aise kai naadan hote hai

Mohabbat sabki mahfil me shama ban kar nahi jalti
Shama ban kar nahi jalti
Hasino ki nazar sab pe chhuri ban kar nahi chalti
Jo hai taqadir vale bas vahi kurban hote hai
Jo hai taqadir vale bas vahi kurban hote hai
Vaha le jate hai kashti jaha tufan hote hai
Zamaane me aji aise kai naadan hote hai

Dubo kar dur saahil se nazara dekhane vaale
Nazara dekhane vaale
Lagaa kar aag chup ke se tamaashaa dekhne vaale
Tamasha aap bante hai to kyo hairan hote hai
Tamasha aap bante hai to kyo hairan hote hai
Zamaane me aji aise kai naadan hote hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *