Yeh Shor Hai Gali Gali Ke Wo Jawan Ho Chali Lyrics | Ek Thi Reeta | Mohammed Rafi | Jaidev

Yeh Shor Hai Gali Gali Ke Wo Jawan Ho Chali Lyrics | Ek Thi Reeta | Mohammed Rafi | Jaidev

Hazaro aafte lekar kisi buth par sabab aaya
Jo aaya bhi to yu aaya ke jalim behisab aaya
Ye shor hai gali gali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali
ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Najar me ek saurur hai ada nashe me chur hai
Ye kah rahi hai sokhiya ke bat kuch jarur hai
Yuhi nahi idhar udhar machi hui ye khalbali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Wo mastiya bikherti najar najar ko gherti
Yaha waha kaha kaha nigahe naaz ferti
Dilo ko lutti hui chali wo manchali manchali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Hasin hai jawan hai kisi ke dil ki jaan hai
Wo kon khusnasib hai ye jispe meharban hai
Jidhar se wo gujar gayi mahak uthi kali kali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *