Ye Kya Jagah Hai Doston, Ye Kaun Saa Dayar Hai Lyrics | Umrao Jaan | Asha Bhosle | Khayyam

Ye Kya Jagah Hai Doston, Ye Kaun Saa Dayar Hai Lyrics | Umrao Jaan | Asha Bhosle | Khayyam

Ye kya jageh hai dosto
Ye kya jageh hai dosto
Ye kaun sa dayar hai
Ye kaun sa dayar hai
Had-e-nigah tak jaha
Had-e-nigah tak jaha gubar hi gubar hai
Gubar hi gubar hai
Ye kya jageh hai dosto

Ye kis makaam par hayaat
Ye kis makaam par hayaat
Mujhko leke aa gai
Mujhko leke aa gai
Na bas khushi pe hai jaha
Na bas khushi pe hai jaha
Na gam pe ikhtiyar hai
Na gam pe ikhtiyar hai
Ye kya jageh hai dosto
Ye kya jageh hai dosto
Ye kaun sa dayar hai
Ye kaun sa dayar hai

Tamam umr ka hisab
Tamam umr ka hisab
Mangti hai zindagi
Magati hai zindagi
Ye mera dil kahe to kya
Ye mera dil kahe to kya
Ke khud se sharmsar hai
Ke khud se sharmsar hai
Ye kya jagah hai dosto
Ye kaun sa dayar hai
Ye kaun sa dayar hai

Bula raha hai kaun
Bula raha hai kaun
Mujhko chilmano ke us taraf
Mere liye bhi kya koi
Mere liye bhi kya koi
Udaas beqarar hai
Udaas beqarar hai
Ye kya jagah hai dosto
Ye kaun sa dayar hai
Ye kaun sa dayar hai
Had-e-nigah tak jaha gubar hi gubar hai
Gubar hi gubar hai
Ye kya jagah hai dosto

MovieUmrao Jaan
SingerAsha Bhosle
DirectorMuzaffar Ali
Music ComposerKhayyam
LyricistShahryar
Star CastRekha, Farooq Sheikh, Naseruddin Shah, Raj Babbar, Shaukat Kaifi, Bharat Bhushan, Satish Shah, Prema Narayan, Dina Pathak, Leela Mishra, Akbar Rashid, Gajanan Jagirdar, Khan Ghizlai, Rita Rani Kaul

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *