Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roz Mujhko Saware
Itna Lage Sochne Kyun
Main Aaj Kal Tere Baare
Tu Jheel Khamoshiyon Ki
Lafzon Ki Main To Lahar Hoon
Ehsaas Ki Tu Hai Duniya
Chhota Sa Main Ek Sehar Hoon
Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roz Mujhko Saware
Khud Se Hai Agar Tu Bekhabar
Bekhabar Rakh Loon Main Tera Khyal Kya
Chupke Chupke Tu Nazar Mein Utar
Sapno Mein Loon Main Sambhal Kya
Sapno Mein Loon Main Sambhal Kya
Main Daudd Ke Pass Aaun
Tu Neend Mein Jo Pukare
Main Rait Hoon
Tu Hai Dariya
Baithi Hoon Tere Kinaare
Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roz Mujhko Saware
Tanha Hai Agar Tera Safar
Humsafar Tanhai Ka Main Jawab Hoon
Hoga Mera Bhi Asar
Tu Agar Padh Le Main Teri Kitaab Hoon
Padh Le Main Teri Kitaab Hoon
Seene Pe Mujhko Saja Ke
Jo Raat Saari Guzare
To Main Sabere Se Keh Doon
Mere Sehar Tu Na Aa Ree
Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roz Mujhko Saware.
Ye Aaina Song Lyrics from the movie/album Kabir Singh released in the year 2020 starring Shahid Kapoor, Kiara Advani. The song Ye Aaina was sung by Amaal Mallik, Shreya Ghoshal. This movie/album was directed by Sandeep Reddy Vanga. The music was given by Amaal Mallik. The lyrics were Penned by Irshad Kamil. The music rights for song purely belongs to T-Series
Share your thoughts