Woh Teri Duniya Nahin Lyrics | Dacait | Lata Mangeshkar | R D Burman

Wo teri duniya nahin wo teri mehfil nahin
Uss taraf mat ja udhar rasta to hai manjil nahin

Rote teri yaad mein gujarega har saawan mera

Jab kahenge log daaku ban gaya saajan tera
Mujh pe kya mujh pe kya mujh pe kya
Gujaregi tu iss baat se gaafil nahin
Uss taraf mat ja udhar rasta to hai manjil nahin
Wo teri duniya nahin wo teri mehfil nahin

Geet bulbul ka hai yeh koyal ki mithi kuk hai

Jindagi hai phul tere haath mein banduk hai
Tu mera tu mera tu mera
Saajan hai saajan tu koyi kaatil nahi
Uss taraf mat ja udhar rasta toh hai manjil nahin
Woh teri duniya nahin woh teri mehfil nahin

Har kasam ko todkar har ek waada todkar
Har kasam ko todkar har ek waada todkar
Ja raha hai aaj tu nafrat se sabko chhod kar
Kya meri kya meri kya meri
Chaahat bhi tere pyaar ke kaabil nahi
Uss taraf mat ja udhar rasta to hai manjil nahin
Wo teri duniya nahin woh teri mehfil nahin

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *