Woh Subah Lyrics  | Begum Jaan | Chunky Pandey, Gauhar Khan, Naseeruddin Shah, Pallavi Sharda, Vidya Balan | Arijit Singh, Shreya Ghoshal | Anu Malik

Woh Subah Lyrics | Begum Jaan | Chunky Pandey, Gauhar Khan, Naseeruddin Shah, Pallavi Sharda, Vidya Balan | Arijit Singh, Shreya Ghoshal | Anu Malik

In kaali sadiyon ke sar se
Jab raat ka aachal dhalkega

Jab dukh ke badal pighlenge
Jab sukh ka sagar chalkega
Jab ambar jhumke nachega
Jab dharti nagmein gayegi

Woh subah hum hi se aayegi
Woh subah hum hi se aayegi (2 times)

Jis subah ki khatir jagg jusse
Hum sab mar mar ke jeete hai

Jis subah ki amrit ki dhun mein
Hum zehar ke pyale peete hain

In bhooki pyaasi roohon par
Ik din tu karam pharmayegi

Woh subah hum hi se aayegi
Woh subah hum hi se aayegi

Maana ke abhi tere mere
Armano ki kimat kuch bhi nahin

Mitti ka bhi hai kuch mol magar
Insano ki keemat magar kuch bhi nahin

Insano ki izzat jab jhoothe
Sikko mein na toli jayegi

Woh subah hum hi se aayegi (6 times)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *