Wo phule phule firte hai
Jinki kismat ko phul mile
Hum kis kismat par naz kare
Hum kis kismat par naz kare
Jinko thokar ki dhul mile
Wo phule phule firte hai
Humne bhi sitare mange the
Kaliyo ki tamanna ki hamne
Khushiyo se sahara manga jab
Khushiyo se sahara manga jab
To sath diya hamko gum ne
Unke sehre pe moti tange
Hamko sehra ke babul mile
Hum kis kismat par naz kare
Jinko thokar ki dhul mile
Wo phule phule firte hai
Unse kya shikayat hai hamko
Jinki takdir me khubi hai
Apni to kinare par aakar
Apni to kinare par aakar
Har bar ye kashti dubi hai
Manjil ki meharbani un par
Jin ko rahe anphul mile
Hum kis kismat par naz kare
Jinko thokar ki dhul mile
Wo phule phule firte hai

