Wo Shaam (Title) Song Lyrics from the movie/album Wo Shaam released in the year 2016. The song Wo Shaam (Title) was sung by Talat Aziz. The music was given by Talat Aziz. The lyrics were Penned by Gul Rukh Khan. The music rights for song purely belongs to Srk Music

Wo Shaam (Title) Lyrics

Wo Shaam Bhala Ab
Kyu Yaado Se Nahi Jaati
Wo Shaam Bhala Ab
Kyu Yaado Se Nahi Jaati
Kadmo Ki Tere Aahat
Raaho Se Nahi Jaati
Wo Shaam Bhala Ab
Kyu Yaado Se Nahi Jaati
Wo Shaam Bhala Ab Kyu

Aur Phir Meri Pukar
Sehraao Ki Aawaz Ban Gayi
Lekin Ab Achanak Is Shise
Ki Diwar Me Ek Darar Pad Gayi
Ab Hum Ek Dusre Ki
Aawaz Sun Paa Rahe Hai
Lekin Milna Tasavvur
Me Nahi Samaata
Hamari Aawaze Kya Sada
Yun Hi Bhatka Rahi Hai
Kya Hamare Kadam
Ghaas Ke Kisi Farsh Par
Kabhi Ek Saath Uth Sakenge
Kya Hum Kabhi Kisi Sahil
Ki Ret Par Baithkar
Samundar Ki Lehro Ko
Khamoshi Se Sun Sakenge
Aur Kya Hum Kabhi Apne
Chehro Par Ek Dusre
Ki Saanso Ki Aawaz Mehsus
Kar Sakenge Nahi Na
Phir Tum Kyu Mere
Andar Utarti Ja Rahe Ho
Phir Kyu Katra Katra
Pighalte Ja Rahe Ho Mujhme

Jis Din Tere Hontho Ne
Honth Mere Chume
Jis Din Tere Hontho Ne
Honth Mere Chume
Saanso Ki Tere Garmi
Saanso Ki Tere Garmi
Saanso Se Nahi Jaati
Saanso Ki Tere Garmi
Saanso Se Nahi Jaati
Kadmo Ki Tere Aahat
Raaho Se Nahi Jaati
Wo Shaam Bhala Ab Kyu
Wo Shaam Bhala Ab
Kyu Wo Shaam.

Share your thoughts

Woh shaam kuchh ajeeb thi lyrics, Lyrics of woh shaam kuchh ajeeb thi, Tere bina shaam hai aadha, Woh shaam kuchh ajeeb thi lyrics in hindi, Woh shaam kuchh ajeeb thi lyrics in english, Talat aziz, Kala sha kalaa full song, Aaj ki shaam pyar karne walon ke naam, Music video with lyrics, Zihale - e- miskin with lyrics, Woh shaam kuchh ajeeb thi yeh shaam bhi ajeeb hai, Mohabbat hai kya chiz with lyrics, Khamoshi woh shaam kuchh ajeeb thi, Mausam hai aashiqana lyrics