Utho Utho He Bharat Tumhaare Lyrics | Bharat Milap | Shankar Rao Vyas

Utho Utho He Bharat Tumhaare Lyrics | Bharat Milap | Shankar Rao Vyas

Utho-utho he bharat tumhare
Raam abhi hai aate raam abhi hai aate
Darshan karke prabhu ke kyo nahi
Man ki peer mitate aaye aaye raam hamare
Aaye shri raghunath aaye shri raghunath

Pakar bharat prabhu charnan ko
Pakar bharat prabhu charnan ko
Ho gaye aaj pranath do sharir ek pran huye hai
Mita hriday santap mita hriday santap
Hua aaj shri raam chandra se sacha bharat milap

Dhan-dhan aaj ayodhya nagri
Dhan-dhan nandi graam dhan-dhan nandi graam
Amar kahani bandhu prem ki
Amar bharat ka naam amar bharat ka naam
Sab jan mangal sukhad manavat
Paavan raja raam paavan raja raam
Ek bar sab bhakti bhav se kaho siyavar raam

Raam raam raja raam patitapavan sita raam
Raam raam raja raam patitapavan sita raam
Raghupati raghav raja raam patitapavan sita raam

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *