Udhar Baalon Men Kanghi, Zulfon Ki Sunahari Chhaanv Tale Lyrics | Zindagi Ya Toofan | Talat Mahmood | Shaukat Dehlvi Nashad

Udhar Baalon Men Kanghi, Zulfon Ki Sunahari Chhaanv Tale Lyrics | Zindagi Ya Toofan | Talat Mahmood | Shaukat Dehlvi Nashad

Udhar baalo me kanghi ho rahi hai kham nikalta hai
Idhar rag rag se khich khich kar hamara dam nikalta hai

Zulfo ki sunehari chhaanv tale
Ik aag lagi do dip jale
Jab pehali nazar ke tir chale
Mat puchh ki dil par kya guzari

Jab pyaar hue do nain mile
Jab aayi bahaar aur phul khile
Jab baat hui aur lab na hile
Mat puchh ki dil par kya guzari

Itna saa hai dil kaa afsana
Apna na huaa ik begaana
Nazare to mili aur dil na mile
Kuchh unase hame shiqave na gile
Kyaa khub mile ulfat ke sile
Mat puchh ki dil par kya guzari

Rah rah ke tadpana ghabrana
Har baat pe dil bhar bhar aana
Aansu bhi bahe sina bhi jale
Armaan ajab kaanto me dhale
Is pyaar se ham bepyaar bhale
Mat puchh ki dil par kya guzari

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *