Tumhen aur kya duun main dil ke sivay
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Tumhen aur kya duun main dil ke sivay
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Muraden ho puri
Saje har tamanna
Muhabbat ki duniya ke
Tum chand ban na
Baharon ki manzil pe
Hasana hasana
Khushi mein hamari bhi
Awaz sunna
Kabhi zindagi mein koi gham na aye
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Tumhen aur kya dun main dil ke sivay
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Mujhe jo khushi hai
Tumhen kya bataun
Bhala dil ki dhadkan ko
Kaise chhipaun
Kahin ho na jaun
Khushi se main pagal
Tumhen dekh kar
Aur bhi muskuraun
Khuda dil jalon ki
Nazar se bachaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye
Tumhen aur kya dun main dil ke sivay
Tum ko hamari umar lag jaye
Tum ko hamari umar lag jaye

