Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi Hain
Kya Jane Tumhe Khaufe Khuda Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi
Jeene Ka Hunar Sabko Sikhata Hain Yahi Ishq
Insaan Ko Insaan Banata Hain Yahi Ishq
Is Ishq Ki Tauhin Khata Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi
Mana Hain Badi Dard Bhari Ishq Ki Rudaad
Hoti Nahi Mitkar Bhi Mohabbat Kabhi Barbaad
Har Daur Me Majnu Huye
Har Daur Me Farhaad
Har Saaz Me Aaj Unki Sada Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi
Gam Phulne Phalne Ka Bhulakar Kabhi Dekho
Sar Ishq Ke Kadmo Pe Jhukakar Kabhi Dekho
Gharbaar Mohabbat Me Lutakar Kabhi Dekho
Khone Me Bhi Pane Ka Maja Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi
Jab Ho Hi Gaya Pyar To Sansaar Ka Dar Kya
Hain Kaun Bhala Kaun Bura
Iski Khabar Kya
Dil Me Na Utar Jaye To Ulfat Ki Nazar Kya
Hum Dil Ke Pujari Hain Pata Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi Hain
Kya Jane Tumhe Khaufe Khuda Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhte Ho Ishq Bala Hain Ke Nahi Hain
Tum Puchhate Ho Ishq Bhalaa Hai Ke Nahin Hai Song Lyrics from the movie/album Nakli Nawab released in the year 2018 starring Manoj Kumar, Shakeela. The song Tum Puchhate Ho Ishq Bhalaa Hai Ke Nahin Hai was sung by Mohammed Rafi. This movie/album was directed by Tara Harish. The music was given by Babul. The lyrics were Penned by Kaifi Azmi
Share your thoughts