Tum Ko Bhoolu Lyrics | Woh Sapan Tumhi Toh Thay (Album) | Sadhana Sargam | Zulfqar Ali

Tum Ko Bhoolu Lyrics | Woh Sapan Tumhi Toh Thay (Album) | Sadhana Sargam | Zulfqar Ali

Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun
Aashiyan apna saja lun
Ya ke barbaad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun

Tum khayalo me
Baar baar chale aate ho
Lamha lamha yun
Pareshan bhi kar jaate ho
Dur jaake bhi
Bahot paas nazar aate ho
Apni yaado se bhula du
Ya tumhe yaad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun
Aashiyan apna saja lun
Ya ke barbaad karun

Tum agar mujhse ye keh do
Ke tumhe pyar nahi
Karna deedar nahi
Mujhse sarokar nahi
Na tadap dard tumhe
Koi intazaar nahi
To kasam hain ke
Na bhule se kabhi yaad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun
Aashiyan apna saja lun
Ya ke barbaad karun

Suni suni hui jaati hain
Fizaaen saari
Ke ab to haar gayi
Rukh ki hawaen saari
Hain tamanna-e adhuri
Si adhuri saari
Dafn kardun unhen
Ya phir se fariyad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun
Aashiyan apna saja lun
Ya ke barbaad karun
Tumko bhulun ya
Kaho yaad karun

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *