Tum gagan ke chandrma ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Tum parlay ke devta ho
Tum parlay ke devta ho
Mai samarpit phul hu
Tum ho puja mai pujari
Tum sudha mai pyaas hu
Tum sudha mai pyaas hu
Tum mahasagar ki seema
Mai kinare ki lahar
Tum mahasangit ke swar
Mai adhuri saaj bhar
Tum ho kaya mai hu chaya
Tum shama mai bhul hu
Tum gagan ke chandrma ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Tum usha ki lalima ho
Bhor ka sindur ho
Mere prano ki ho gunjan
Mere man ki mayur ho
Tum ho puja mai pujari
Tum sudha mai pyas hu
Tum gagan ke chandrma ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Tum gagan ke chandrma

